Shaurya....

shaurya kya hai?

thartharati is dharti ko raundti,
faujon ki ek paltan ka shor,
ya sehme se aasman ko cheerta hua,
bandukon ki salami ka shor...

shaurya kya hai?

hari wardi par chamakte hue
chand peetal ke sitare,
ya sarhad ka naam dekar
andekhi kuch lakeeron ki numaish...

shaurya kya hai?

door udte kahmosh parinde ko
goliyon se bhoon dene ka ehsaas,
ya sholon ki barsaat se,pal bahr mein,
ek sheher ko shamshan bana dene ka ehsaas,

shaurya kya hai?

behti hui aas mein kisi ke khoon ka,
hole se sukhb jaana....
ya anjaane kisi firaaq mein,
pal pal ka dosakh bante jaana...

shaurya kya hai?

baarud se dhundhle is aasmaan mein.......
shaurya kya hai?

vadiyon mein gunjte kisi gaon ke maatam mein.....
shautya kya hai?

Shaurya...
shayad ek hosla,
shayad ek himmat,
hamare bohot andar...

goliyion ki betahasha shor ko
apni khamoshi se chunauti de paane ki himmat.
marti marti is duniya mein,
nihatte date rehne ki himmat.

Shaurya....
aane wale kal ki khatir,
apne hisse ki kayanat ko aaj hi bacha lene ki himmat.

shaurya kya hai????



aap kahiye...

Comments

Popular Posts